Tammanae aur bhi hai
Jeene ke siva,
Ek aasha hai ud jaane ki
Ek khwaish hai sab paane ki,
Behte dariya sa chalna hai,
Jaha ummed ho mere aane ki,
Tamannae aur bhi hai,
Jeene ke siva,
Lehrana hai patto sa,
Hawa ke jhonko ke saath,
Machalna hai phoolon sa,
Chhute hi woh nanhe haath,
Tammannae aur bhi hai,
Jeene ke siva,
Chhaya ban ke chalna hai,
Jaha raahi ruk se jaate hai,
Saaya ban ke chalna hai,
Jaha do saathi mil jaate hai,
Tamanna aur bhi hai,
Jeene ke siva,
Chanda si roshni banna hai mujhe,
Taroon sa jagmagana hai mujhe,
Chandani si jhilmilahat se,
Ye andhera dur hatana hai mujhe,
Tamanna aur bhi hai,
Jeene ke siva
Akela hain aur raah bhi ek hai,
Honsle hai jawan, irade nek hai,
Mil jaye koi saath, chal padenge us disha,
Tammana aur bhi hai,
Jeene ke siva...
1 comment:
Bherrie bherrie naaaiice :D
Post a Comment