Wednesday, June 2, 2010

Khul Gaya...Khul Gaya, Aasma Khul Gaya

khul gaya, khul gaya, aasma khul gaya,
ghul gaya, ghul gaya, rang har ek ghul gaya,

baadal bhi keh rahein, paani mein har rang mile,
parvat yea shaan se, ambar ko hai chhu rahe,
bheegi hai yea dhara, jarane bhi hai beh rahe,
rasta yea khatm na ho, saagar se yea mil rahe

khul gaya, khul gaya, aasma yea khul gaya,
ghul gaya, ghul gaya, rang har ek ghul gaya,

har disha, hariyali hai,
chehron pe, khushihali hai,
aankhen bhi hai beh rahi sang,
khil rahi muskan hai,

khul gaya, khul gaya, aasma yea khul gaya,
ghul gaya, ghul gaya, rang har ek ghul gaya,

Kadkadate baadalon se, beh chali paani ki dhar,
Phadphadaake pacnhio se, chhup gaye hum ghar mein yaar
Chhup gaya kuch waqt suraj, har hava suhani hai,
Dekh tu har ek makaan mein, ik nayi kahani hai,
mausam hai  yea prit ka, bichhad ke milte mit ka,
chal aa mil ke geet gaaye, ghirte sawan, bhaado ka

khul gaya, khul gaya, aasma yea khul gaya,
ghul gaya, ghul gaya, rang har ek ghul gaya.

1 comment:

Nitin said...

"in barisho se adaab-e-mohobbat seekho Faraz,
agar ye rooth bhi jayen to barasti bohut hain"